Saturday, February 26, 2011

aane ka vaada to kar....


Tanha si zindzgi me tanha hai har rasta ,
dosto yaaro se jaise toota ho vasta,
sabhi hain saath par najane kiski kami hai,
itni khushiyo me najane kaisi gami hai.

Kyo patjhad me sawan ka deedar karta hoon,
kyo har ghadi sirf tera intezaar karta hoon,
tu kaun hai kaha hai, is sab se anjaan hoon,
kya teri tarah ,main bhi tera armaan hoon.
Tu na aa ,magar aane ka vada to kar,

meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
teri aas me najane kab se nahi soya,
teri yaad me najane kitni raate roya,
ab apni khushi se mera gam aadha to kar,
tu na aa magar aane ka vada to kar…………

Hum ne pyaar main paaya to kyaa paya

Kabhi khud ro diye kabhi Tum ko rulaya

Halat-e-ghum main beh gaya jho aansoon

Who Zindagi main phir kabhi na behne paya

Saza mujhe mili aur jaza unhain bi

Aisa bhi kya insaaf me hai sir jhukaya

Himmat nahee thi us main Saath mere dene ki

Ab tak na jaane vo kaise chal paya

Kisi ajnabi ko mera likha suna raha tha woh

Bikhre hue khawabon ke Purzey udha raha tha woh

Umr bhar pista raha who rishtoon ki chaki mein

Baaqi rahe rishtoon se daaman churra raha tha woh

Apni zidd to woh puri na kar saka

Ruthey huway bachoon ko mana raha tha woh

Sehra me khile phool ko bachane ke liye

Apne ashkoon se uski pyaas mita raha tha woh

Uski yaadoon ko kuch is tarah bhula raha tha

Apne haathoon apna likha mita raha tha woh

Sirf kirdaar hi to badle they usne

Apni hi kahani suna raha tha woh !!!

Hum apni deewangi se jaane jaate hain

Wo apni berukhi se pehchaane jaate hain

Roz miltey hai lekin, kuchh kehte sunte nahi

Mere saamne wo meri dhadkan badhaane aate hain

Shab bhar intzaar mein hum taare dekhaa karte hai

Sabera hone se pehle wo chand bujhane aate hain

Ek nazar ke liye hum din bhar taraste hain

Wo shaam ko gamalon ko paani pilaane aate hain

Mere is haalaat pe hansanaa nahi MUSAFIR too

Ishq main sabke saame aise zamaane aate HAIN........